Piku, 2015

PIKU title song lyric by Manoj Yadav
Bezubaan lyric co-written with Manoj Yadav

Bezubaan

Verse 1
Kis lamhe ne thami, ungli meri,
Fuslaa ke mujhko le chala,
Nange paaon, daudi, aankhen meri,
Khaabon ki saari bastiyaan,
Pre-chorus
Har duriyaan har faasle kareeb hain,
Is umra ki bhi shaksiyat ajeeb hai.
Chorus
Jheeni jheeni in saason se,
Pehchaani si aawaazon mein,
Gunja hai aaj asmaan,
Kaise hum bezubaan.
Is jeene mein, kahin hum bhi the,
the zyaada ya zara kam hi the,
Ruk ke bhi chal pade magar
Raste sab bezubaan.
Verse 2
Jeene ki ye kaise aadat lagi,
bematlab karze chadh gaye,
haadson se bachke jaatey kahan,
Sab rote hanste seh gaye.
Pre-chorus
Ab ghaltiyaan jo maan leen, toh theek hai,
Kamzoriyon ko maat deen, toh theek hai,
Chorus
Jheeni jheeni in saason se,
Pehchaani si aawaazon mein,
Gunja hai aaj asmaan,
Kaise hum bezubaan.
Is jeene mein, kahin hum bhi the,
the zyaada ya zara kam hi the,
Ruk ke bhi chal pade magar
Raste sab bezubaan.
Bezubaan, hum ban gaye bezubaan.

Journey Song

V1
dheere chalna hai mushkil
to jaldi hi sahi
aankhon ke kinaro mein
bahane hi sahi

Chorus
hum chale baharon mein
gungunati raahon mein
dhadkane bhi tez hein
ab kya karein
waqt hai to jeene de
dard hai to seene de
khwahishein anjan hein
ab kya karein

V2
shabdo ke pahadon pe
likhi hai daastaan
khwabo ke lifafo mein
chhupa hai rasta

Chorus
hum chale baharon mein
gungunati raahon mein
dhadkane bhi tez hein
ab kya karein
waqt hai to jeene de
dard hai to seene de
khwahishein anjan hein
ab kya karein

Bridge

O akash
O palash rashi rashi
ektu sobuje
chokh muchhiye de
ghorchhara manusher mone

O jiya
O guzarte nazarein
Rang udane de
hum nashe mein hein
Bhul gaye sawalon ko saare

V3
Mehki si hawaon mein
Chaley hein hum kahin
Hum jo chahein dil ko woh
Pata hai ya nahi

Chorus
hum chale baharon mein
gungunati raahon mein
dhadkane bhi tez hein
ab kya karein
waqt hai to jeene de
dard hai to seene de
khwahishein anjan hein
ab kya karein

Bridge

O akash
O palash rashi rashi
ektu sobuje
chokh muchhiye de
ghorchhara manusher mone

O jiya
O guzarte nazarein
Rang udane de
hum nashe mein hein
Bhul gaye sawalon ko saare

Lamhe Guzar Gaye

Mukhda
Lamhe guzar gaye, chehre badal gaye,
Hum they anjaani raahon mein.
Pal mein rula diya, pal mein hansa ke phir,
Reh gaye hum bhi raahon mein.
Verse 1
Thoda sa paani hai, rang hai,
Thodi si chhaon hai.
Chhubhti hai aankhon mein, dhoop yeh,
Khuli dishaaon mein.
Aur dard bhi, meetha lage
Sab faasle yeh kam huye.
Khaabon se raste sajane to do.
Yaadon ko dil mein basane to do.
Mukhda
Lamhe guzar gaye, chehre badal gaye,
Hum they anjaani raahon mein.

Verse 2
Thodi si berukhi, jaane do,
Thodi si zindagi.
Laakhon sawalon mein, dhundoo kya?
Thak gayi yeh zameen.
Jo mil gaya yeh asmaan,
To asmaan se maangoon kya?
Khaabon se raste sajane to do.
Yaadon ko dil mein basane to do.

Piku

Mukhda 1
Subah ki dhoop pe isi ki dastakhat hai,
Isi ki raoshni udi jo har taraf hai,
Ye lamhon ke kuwen mein roz jhaankti hai,
Ye jaake waqt se hisaab maangti hai,
Ye paani hai ye aag hai,
Ye khud leekhee qitaab hai,
Pyar ki khurak si hai PIKU!
Verse 1
Panna, saanson ka paltey,
Aur likkhe unpe mann ki baat re,
Lena, isko kya kis se,
Isko toh bhaaye khud ka saath re,
Baarish ki boond jaisi,
Sardi ke dhundh jaisi,
kaisi paheli iskaa hal na mile.
Mukhda 2
Kabhi ye aasmaan utaarti hai neeche,
Kabhi ye bhaage aise badalon ke peechhe,
Ise har dard ghoant jaane ka nashaa hai,
Karo jo aaye ji mein iskaa falsafaa hai
Ye paani hai ye aag hai,
Ye khud leekhee qitaab hai,
Pyar ki khurak si hai PIKU!
Verse 2
Mode raahon ke chehre,
Isko jaaana hota jis ore hai,
Aise sargam sunaaye,
Khud iske sur hain iske raag re.
Roothe toh mirchi jaisi,
Hansde de toh cheeni jaisi,
kaisi paheli iskaa hal na mile.
Mukhda 1
Subah ki dhoop pe isi ki dastakhat hai,
Isi ki raoshni udi jo har taraf hai,
Ye lamhon ke kuwen mein roz jhaankti hai,
Ye jaake waqt se hisaab maangti hai,
Ye paani hai ye aag hai,
Ye khud leekhee qitaab hai,
Pyar ki khurak si hai PIKU!

Teri Meri Baatein

Mukhda
Aankhon ki nami, haan teri meherbaani hai
Thodi si ummeedon se aage, aisi kahani hai
Anchal jo uda, haan teri meherbaani hai
Thodi si ummeedon se aage, aisi kahani hai.
Hook Line
Lehron se hein
Sagar se gehree bhi hein
Yeh teri meri baatein.
Rulati bhi hein
Gham mein hasati bhi hein
Yeh teri meri baatein.
Antara 1
Har saans sunati hai, tera hi naam.
Palkon ke chhaon mein, do pal ka aram.
Kachche yeh dhaage hein, kachchey hein rang,
Chhu lu to jee bhi loon, kuchh tere sang.
Hook Line (repeat)
Antara 2
Mein neend bulata hu, haathon mein haath,
Chadar ke kone mein, reh jaati baat.
Chhoti si nishani hai, aasman ke paar
Is raat ke seene mein, chhalka hai pyar.
Mukhda (repeat)
Hook Line (repeat)

Contact Book Anupam Roy Band for Live Shows

Contact Details

Call: +91 9836087757, +91 9051821222

Stay Connected

FacebookTwitterG+